Lagta nahin hai dil mera Ujrhe dayyar main Kiski bani hai Aalam-e-napaaydar main Keh do in hasratuan se Kahin aur ja basain Itni jagah kahna hai Dil-e-daagdar main Umre daraaz maang kar Laaye the chaar din Do aarzu main kat gaye Do intzaar main Kitna hai badnasib Zafar Dafn ke liye Do gaz zamin bhi na mili Kooye-yaar main
-zafar